Unki Aamad Hai Gul-fishani Hai
un ki aamad hai gul-fishani hai
rang-e-KHushbu ki mezbani hai
kaisi hogi na jaane sham-e-umr
subh jab aisi sar-girani hai
maut ka kuchh pata nahin lekin
zindagi sirf nauha-KHwani hai
marne wala hai markazi kirdar
aaKHiri moD par kahani hai
KHud-kushi jaisi koi baat nahin
ek zara mujh ko bad-gumani hai
ye jo barud hai hawaon mein
aag thoDi si bas lagani hai
us ka likkha hi ji raha hun main
us ki babat hi ye kahani hai
(774) Peoples Rate This