Sawalon Mein KHud Bhi Hai Dubi Udasi

sawalon mein KHud bhi hai Dubi udasi

kahin le na Dube mujhe bhi udasi

shab-o-roz chalti hai pahlu se lag kar

gale paD gai ek ziddi udasi

fazaon ki rangat nikharne lagi hai

hui sham phir dil mein lauTi udasi

zara chand kya aaya meri taraf ko

sitaron ne jal-bhun ke oDhi udasi

shabistan mein gham ki na shamen jalao

kahin jag jae na soi udasi

zara der logon mein khul kar hansi phir

sar-e-bazm aankhon se Tapki udasi

use yaad thi kal ki tariKH shayad

sisakti rahi le ke hichki udasi

jami thi mere sard sine mein kab se

tapish pa ke ashkon ki pighli udasi

katarti hai dil ke shajar ki ye KHushiyan

teri yaad hai ya gilahri udasi

kabhi hum the jin ki duaon mein shamil

unhin tak na pahunchi hamari udasi

teri yaad ke ab nishan tak nahin hum

magar dil mein rahti hai ab bhi udasi

nigahon mein hadd-e-nazar tak hai raqsan

udasi udasi udasi udasi

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawalon Mein KHud Bhi Hai Dubi Udasi In English By Famous Poet Alok Mishra. Sawalon Mein KHud Bhi Hai Dubi Udasi is written by Alok Mishra. Read famous Poem Sawalon Mein KHud Bhi Hai Dubi Udasi for youth and Student by Alok Mishra. Free Download Sawalon Mein KHud Bhi Hai Dubi Udasi in PDF.