Zara Bhi Kaam Na Aaega Muskurana Kya
zara bhi kaam na aaega muskurana kya
tana rahega udasi ka shamiyana kya
main chahta hun takalluf bhi tark kar do tum
nahin hain ab wo marasim to aana-jaana kya
tamam tir-o-tabar kya mere liye hi hain
mujhi pe lagna hai duniya ka har nishana kya
unhin ko chir ke baDhna hai ab kinare par
utar gae hain to lahron se KHauf khana kya
yun apni zat ke dar par khaDe ho kab se tum
ki apne ghar bhi hai aawaz de ke jaana kya
(750) Peoples Rate This