Ek Zara Si Chah Mein Jis Rose Bik Jata Hun Main

ek zara si chah mein jis rose bik jata hun main

aaine ke samne us din nahin aata hun main

ranj gham us se chhupata hun main apne lakh par

paDh hi leta hai wo chehra phir bhi jhuTlata hun main

qarz kya laya main KHushiyan zindagi se ek din

rose karti hai taqaza aur jhunjhlata hun main

hausla to dekhiye mera ghazal ki khoj mein

apne hi sine mein KHanjar sa utar jata hun main

de saza-e-maut ya phir baKHsh de tu zindagi

kashmakash se yar teri saKHt ghabraata hun main

maun wo paDhta nahin aur shabd bhi sunta nahin

jo bhi kahna chahta hun kah nahin pata hun main

KHwab sach karne chala tha ganw se main shahr ko

nind bhi kho kar yahan 'alok' pachhtata hun main

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Zara Si Chah Mein Jis Rose Bik Jata Hun Main In English By Famous Poet Alok Yadav. Ek Zara Si Chah Mein Jis Rose Bik Jata Hun Main is written by Alok Yadav. Read famous Poem Ek Zara Si Chah Mein Jis Rose Bik Jata Hun Main for youth and Student by Alok Yadav. Free Download Ek Zara Si Chah Mein Jis Rose Bik Jata Hun Main in PDF.