Khula Hai Zist Ka Ek KHushnuma Waraq Phir Se

khula hai zist ka ek KHushnuma waraq phir se

hawa-e-shauq ne ki hai yahan pe daq phir se

pukarta hai mujhe kaun mere mazi se

ki aaj ruKH pe mere chha gai shafaq phir se

KHafa KHafa se hain aaKHir janab-e-naseh kyun

kisi ne kar diya kya aaj zikr-e-haq phir se

kisi se ruTh gae ya kisi ka dil toDa

jabin pe aa gaya kyun aap ki araq phir se

miyan-e-dil koi leti hai Tis angDai

wahi hai ranj wahi gham wahi qalaq phir se

na niklo chandni raaton mein kitni bar kaha

hua hai chand ke chehre ka rang faq phir se

bas ek tajraba kafi hai zindagi ke liye

paDha na jaega hum se wahi sabaq phir se

yahi nizam-e-zamana yahi taghayyur hai

jo sahl hai wahi ho jaega adaq phir se

kahin qarib hi baadal baraste hain 'alok'

hawaen lai hain KHunki ki kuchh ramaq phir se

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khula Hai Zist Ka Ek KHushnuma Waraq Phir Se In English By Famous Poet Alok Yadav. Khula Hai Zist Ka Ek KHushnuma Waraq Phir Se is written by Alok Yadav. Read famous Poem Khula Hai Zist Ka Ek KHushnuma Waraq Phir Se for youth and Student by Alok Yadav. Free Download Khula Hai Zist Ka Ek KHushnuma Waraq Phir Se in PDF.