Dasht-dar-dasht Phira Karta Hun Pyasa Hun Main

dasht-dar-dasht phira karta hun pyasa hun main

aur duniya ye samajhti hai ki dariya hun main

tang sahra nazar aaya hai jo phaila hun main

ho gai hai meri taswir jo simTa hun main

justuju jis ki safinon ko rahi hai sadiyon

dosto mere wo be-nam jazira hun main

kis liye mujh pe hai ye sust-rawi ka ilzam

zindagi dekh le KHud tera sarapa hun main

aarzu mere qadam ki thi kabhi rahon ko

aaj lekin dil-e-imkan mein khaTakta hun main

paDh sako gar to khulen tum pe rumuz-e-hasti

waqt ke hath mein ek aisa sahifa hun main

anjuman hun main kabhi zat se apni 'shibli'

aur mahfil mein bhi rah kar kabhi tanha hun main

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-dar-dasht Phira Karta Hun Pyasa Hun Main In English By Famous Poet Alqama Shibli. Dasht-dar-dasht Phira Karta Hun Pyasa Hun Main is written by Alqama Shibli. Read famous Poem Dasht-dar-dasht Phira Karta Hun Pyasa Hun Main for youth and Student by Alqama Shibli. Free Download Dasht-dar-dasht Phira Karta Hun Pyasa Hun Main in PDF.