Junun-e-shauq-e-mohabbat Ki Aagahi Dena

junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi dena

KHudi bhi jis pe ho qurban wo be-KHudi dena

na shor chahiye dariya ki tund maujon ka

mere lahu ko samundar ki KHamushi dena

tu de na de mere lab ko shaguftagi gul ki

jo de sake to shagufe ki bekali dena

shanaKHt jis se zamane mein aadmi ki hai

ye iltija hai ki tu mujh ko wo KHudi dena

jhuka sake na mera sar koi bhi qadmon par

jo ho sake to mujhe tu wo sar-kashi dena

naqab ulaT de jo baDh kar ruKH-e-tamanna se

ye aarzu hai ki mujh ko wo tishnagi dena

nai jihat se fan ko jo aashna kar de

mere qalam ko KHudaya wo kaj-rawi dena

(1056) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun-e-shauq-e-mohabbat Ki Aagahi Dena In English By Famous Poet Alqama Shibli. Junun-e-shauq-e-mohabbat Ki Aagahi Dena is written by Alqama Shibli. Read famous Poem Junun-e-shauq-e-mohabbat Ki Aagahi Dena for youth and Student by Alqama Shibli. Free Download Junun-e-shauq-e-mohabbat Ki Aagahi Dena in PDF.