Aage BaDhe Na Qissa-e-ishq-e-butan Se Hum

aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butan se hum

sab kuchh kaha magar na khule raazdan se hum

ab bhagte hain saya-e-ishq-e-butan se hum

kuchh dil se hain Dare hue kuchh aasman se hum

hanste hain us ke girya-e-be-iKHtiyar par

bhule hain baat kah ke koi raazdan se hum

ab shauq se bigaD ke hi baaten kiya karo

kuchh pa gae hain aap ke tarz-e-bayan se hum

jannat mein to nahin agar ye zaKHm-e-tegh-e-ishq

badlenge tujh ko zindagi-e-jawedan se hum

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aage BaDhe Na Qissa-e-ishq-e-butan Se Hum In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Aage BaDhe Na Qissa-e-ishq-e-butan Se Hum is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Aage BaDhe Na Qissa-e-ishq-e-butan Se Hum for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Aage BaDhe Na Qissa-e-ishq-e-butan Se Hum in PDF.