Baat Kuchh Humse Ban Na Aai Aaj

baat kuchh hum se ban na aai aaj

bol kar hum ne munh ki khai aaj

chup par apni bharam the kya kya kuchh

baat bigDi bani banai aaj

shikwa karne ki KHu na thi apni

par tabiat hi kuchh bhar aai aaj

bazm saqi ne di ulaT sari

KHub bhar bhar ke KHum lunDhai aaj

masiyat par hai der se ya rab

nafs aur sharaa mein laDai aaj

ghaalib aata hai nafs-e-dun ya shara

dekhni hai teri KHudai aaj

chor hai dil mein kuchh na kuchh yaro

nind phir raat bhar na aai aaj

zad se ulfat ki bach ke chalna tha

muft 'haali' ne choT khai aaj

(812) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Baat Kuchh Humse Ban Na Aai Aaj In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Baat Kuchh Humse Ban Na Aai Aaj is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Baat Kuchh Humse Ban Na Aai Aaj for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Baat Kuchh Humse Ban Na Aai Aaj in PDF.