Go Jawani Mein Thi Kaj-rai Bahut

go jawani mein thi kaj-rai bahut

par jawani hum ko yaad aai bahut

zer-e-burqa tu ne kya dikhla diya

jama hain har su tamashai bahut

haT pe is ki aur pis jate hain dil

ras hai kuchh us ko KHud-rai bahut

sarw ya gul aankh mein jachte nahin

dil pe hai naqsh us ki ranai bahut

chur tha zaKHmon mein aur kahta tha dil

rahat is taklif mein pai bahut

aa rahi hai chah-e-yusuf se sada

dost yan thoDe hain aur bhai bahut

wasl ke ho ho ke saman rah gae

meinh na barsa aur ghaTa chhai bahut

jaan-nisari par wo bol uTThe meri

hain fidai kam tamashai bahut

hum ne har adna ko aala kar diya

KHaksari apni kaam aai bahut

kar diya chup waqeat-e-dahr ne

thi kabhi hum mein bhi goyai bahut

ghaT gain KHud talKHiyan ayyam ki

ya gai kuchh baDh shakebai bahut

hum na kahte the ki 'haali' chup raho

rast-goi mein hai ruswai bahut

(1453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Go Jawani Mein Thi Kaj-rai Bahut In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Go Jawani Mein Thi Kaj-rai Bahut is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Go Jawani Mein Thi Kaj-rai Bahut for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Go Jawani Mein Thi Kaj-rai Bahut in PDF.