Ghar Hai Wahshat-KHez Aur Basti UjaD

ghar hai wahshat-KHez aur basti ujaD

ho gai ek ek ghaDi tujh bin pahaD

aaj tak qasar-e-amal hai na-tamam

bandh chuki hai bar-ha khul khul ke paD

hai pahunchna apna choTi tak muhaal

ai talab nikla bahut uncha pahaD

khelna aata hai hum ko bhi shikar

par nahin zahid koi TaTTi ki aaD

dil nahin raushan to hain kis kaam ke

sau shabistan mein agar raushan hain jhaD

id aur nauroz hai sab dil ke sath

dil nahin hazir to duniya hai ujaD

khet raste par hai aur rah-rau sawar

kisht hai sarsabz aur nichi hai baD

baat waiz ki koi pakDi gai

in dinon kam-tar hai kuchh hum par lataD

tum ne 'haali' khol kar nahaq zaban

kar liya sari KHudai se bigaD

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Hai Wahshat-KHez Aur Basti UjaD In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Ghar Hai Wahshat-KHez Aur Basti UjaD is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Ghar Hai Wahshat-KHez Aur Basti UjaD for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Ghar Hai Wahshat-KHez Aur Basti UjaD in PDF.