Gham-e-furqat Hi Mein Marna Ho To Dushwar Nahin

gham-e-furqat hi mein marna ho to dushwar nahin

shadi-e-wasl bhi aashiq ko saza-war nahin

KHub-rui ke liye zishti-e-KHu bhi hai zarur

sach to ye hai ki koi tujh sa tarah-dar nahin

qaul dene mein tammul na qasam se inkar

hum ko sachcha nazar aata koi iqrar nahin

kal KHarabaat mein ek goshe se aati thi sada

dil mein sab kuchh hai magar ruKHsat-e-guftar nahin

haq hua kis se ada us ki wafadari ka

jis ke nazdik jafa bais-e-azar nahin

dekhte hain ki pahunchti hai wahan kaun si rah

kaba o dair se kuchh hum ko sarokar nahin

honge qail wo abhi matla-e-sani sun kar

jo tajalli mein ye kahte hain ki takrar nahin

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-furqat Hi Mein Marna Ho To Dushwar Nahin In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Gham-e-furqat Hi Mein Marna Ho To Dushwar Nahin is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Gham-e-furqat Hi Mein Marna Ho To Dushwar Nahin for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Gham-e-furqat Hi Mein Marna Ho To Dushwar Nahin in PDF.