Dil Se KHayal-e-dost Bhulaya Na Jaega

dil se KHayal-e-dost bhulaya na jaega

sine mein dagh hai ki miTaya na jaega

tum ko hazar sharm sahi mujh ko lakh zabt

ulfat wo raaz hai ki chhupaya na jaega

ai dil raza-e-ghair hai shart-e-raza-e-dost

zinhaar bar-e-ishq uThaya na jaega

dekhi hain aisi un ki bahut mehrbaniyan

ab hum se munh mein maut ke jaya na jaega

mai tund o zarf-e-hausla-e-ahl-e-bazm tang

saqi se jam bhar ke pilaya na jaega

raazi hain hum ki dost se ho dushmani magar

dushman ko hum se dost banaya na jaega

kyun chheDte ho zikr na milne ka raat ke

puchhenge hum sabab to bataya na jaega

bigDen na baat baat pe kyun jaante hain wo

hum wo nahin ki hum ko manaya na jaega

milna hai aap se to nahin hasr ghair par

kis kis se iKHtilat baDhaya na jaega

maqsud apna kuchh na khula lekin is qadar

yani wo DhunDte hain jo paya na jaega

jhagDon mein ahl-e-din ke na 'haali' paDen bas aap

qissa huzur se ye chukaya na jaega

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Se KHayal-e-dost Bhulaya Na Jaega In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Dil Se KHayal-e-dost Bhulaya Na Jaega is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Dil Se KHayal-e-dost Bhulaya Na Jaega for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Dil Se KHayal-e-dost Bhulaya Na Jaega in PDF.