Dil Ko Dard-ashna Kiya Tu Ne

dil ko dard-ashna kiya tu ne

dard-e-dil ko dawa kiya tu ne

tab-e-insan ko di sirisht-e-wafa

KHak ko kimiya kiya tu ne

wasl-e-jaanan muhaal Thahraya

qatl-e-ashiq rawa kiya tu ne

tha na juz gham bisat-e-ashiq mein

gham ko rahat-faza kiya tu ne

jaan thi ek wabaal furqat mein

shauq ko jaan-guza kiya tu ne

thi mohabbat mein nang minnat-e-ghair

jazb-e-dil ko rasa kiya tu ne

rah zahid ko jab kahin na mili

dar-e-mai-KHana wa kiya tu ne

qata hone hi jab laga paiwand

ghair ko aashna kiya tu ne

thi jahan karwan ko deni rah

ishq ko rahnuma kiya tu ne

naw bhar kar jahan Duboni thi

aql ko naKHuda kiya tu ne

baDh gai jab pidar ko mehr-e-pisar

us ko us se juda kiya tu ne

jab hua mulk o mal rahzan-e-hosh

baadshah ko gada kiya tu ne

jab mili kaam-e-jaan ko lazzat-e-dard

dard ko be-dawa kiya tu ne

jab diya rah-rau ko zauq-e-talab

sai ko na-rasa kiya tu ne

parda-e-chashm the hijab bahut

husn ko KHud-numa kiya tu ne

ishq ko tab-e-intizar na thi

ghurfa ek dil mein wa kiya tu ne

haram aabaad aur dair KHarab

jo kiya sab baja kiya tu ne

saKHt afsurda taba thi ahbab

hum ko jadu nawa kiya tu ne

phir jo dekha to kuchh na tha ya rab

kaun puchhe ki kya kiya tu ne

'haali' uTTha hila ke mahfil ko

aaKHir apna kaha kiya tu ne

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Dard-ashna Kiya Tu Ne In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Dil Ko Dard-ashna Kiya Tu Ne is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Dil Ko Dard-ashna Kiya Tu Ne for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Dil Ko Dard-ashna Kiya Tu Ne in PDF.