Dhum Thi Apni Parsai Ki

dhum thi apni parsai ki

ki bhi aur kis se aashnai ki

kyun baDhate ho iKHtilat bahut

hum ko taqat nahin judai ki

munh kahan tak chhupaoge hum se

tum ko aadat hai KHud-numai ki

lag mein hain lagao ki baaten

sulh mein chheD hai laDai ki

milte ghairon se ho milo lekin

hum se baaten karo safai ki

dil raha pa-e-band-e-ulfat-e-dam

thi abas aarzu rihai ki

dil bhi pahlu mein ho to yan kis se

rakhiye ummid dilrubai ki

shahr o dariya se bagh o sahra se

bu nahin aati aashnai ki

na mila koi ghaarat-e-iman

rah gai sharm parsai ki

baKHt-e-ham-dastani-e-shaida

tu ne aaKHir ko na-rasai ki

sohbat-e-gah-gahi-e-rashki

tu ne bhi hum se bewafai ki

maut ki tarah jis se Darte the

saat aa pahunchi us judai ki

zinda phirne ki hai hawas 'haali'

intiha hai ye be-hayai ki

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhum Thi Apni Parsai Ki In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Dhum Thi Apni Parsai Ki is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Dhum Thi Apni Parsai Ki for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Dhum Thi Apni Parsai Ki in PDF.