Hai Ye Takiya Teri Ataon Par

hai ye takiya teri ataon par

wahi israr hai KHataon par

rahen na-ashna zamane se

haq hai tera ye aashnaon par

rahrawo ba-KHabar raho ki guman

rahzani ka hai rahnumaon par

hai wo der aashna to aib hai kya

marte hain hum inhin adaon par

us ke kuche mein hain wo be-par o baal

uDte phirte hain jo hawaon par

shahsawaron pe band hai jo rah

waqf hai yan barahna panw par

nahin munim ko us ki bund nasib

meinh barasta hai jo gadaon par

nahin mahdud baKHshishen teri

zahidon par na parsaon par

haq se darKHwast afw ki 'haali'

kije kis munh se in KHataon par

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Ye Takiya Teri Ataon Par In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Hai Ye Takiya Teri Ataon Par is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Hai Ye Takiya Teri Ataon Par for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Hai Ye Takiya Teri Ataon Par in PDF.