Haq Wafa Ke Jo Hum Jatane Lage

haq wafa ke jo hum jatane lage

aap kuchh kah ke muskurane lage

tha yahan dil mein tan-e-wasl-e-adu

uzr un ki zaban pe aane lage

hum ko jina paDega furqat mein

wo agar himmat aazmane lage

Dar hai meri zaban na khul jae

ab wo baaten bahut banane lage

jaan bachti nazar nahin aati

ghair ulfat bahut jatane lage

tum ko karna paDega uzr-e-jafa

hum agar dard-e-dil sunane lage

saKHt mushkil hai shewa-e-taslim

hum bhi aaKHir ko ji churane lage

ji mein hai lun raza-e-pir-e-mughan

qafile phir haram ko jaane lage

sirr-e-baatin ko fash kar ya rab

ahl-e-zahir bahut satane lage

waqt-e-ruKHsat tha saKHt 'haali' par

hum bhi baiThe the jab wo jaane lage

(1414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haq Wafa Ke Jo Hum Jatane Lage In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Haq Wafa Ke Jo Hum Jatane Lage is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Haq Wafa Ke Jo Hum Jatane Lage for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Haq Wafa Ke Jo Hum Jatane Lage in PDF.