Haqiqat Mahram-e-asrar Se Puchh

haqiqat mahram-e-asrar se puchh

maza angur ka mai-KHwar se puchh

wafa aghyar ki aghyar se sun

meri ulfat dar o diwar se puchh

hamari aah-e-be-tasir ka haal

kuchh apne dil se kuchh aghyar se puchh

dilon mein Dalna zauq-e-asiri

kamand-e-gesu-e-KHamdar se puchh

dil-e-mahjur se sun lazzat-e-wasl

nashat-e-afiyat bimar se puchh

nahin juz girya-e-gham hasil-e-ishq

hamari chashm-e-dariya-bar se puchh

nahin aab-e-baqa juz jalwa-e-dost

kisi lab-tishna-e-didar se puchh

fareb-e-wada-e-dildar ki qadr

shahid-e-KHanjar-e-inkar se puchh

fughan-e-shauq ko mane nahin wasl

ye nukta andalib-e-zar se puchh

tasawwur mein kiya karte hain jo hum

wo taswir-e-KHayal-e-yar se puchh

mata-e-be-baha hai sher-e-'haali'

meri qimat meri guftar se puchh

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haqiqat Mahram-e-asrar Se Puchh In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Haqiqat Mahram-e-asrar Se Puchh is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Haqiqat Mahram-e-asrar Se Puchh for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Haqiqat Mahram-e-asrar Se Puchh in PDF.