Kabk O Qumri Mein Hai JhagDa Ki Chaman Kis Ka Hai

kabk o qumri mein hai jhagDa ki chaman kis ka hai

kal bata degi KHizan ye ki watan kis ka hai

faisla gardish-e-dauran ne kiya hai sau bar

marw kis ka hai badaKHshan o KHutan kis ka hai

dam se yusuf ke jab aabaad tha yaqub ka ghar

charKH kahta tha ki ye bait-e-hazan kis ka hai

mutmain is se musalman na masihi na yahud

dost kya jaaniye ye charKH-e-kuhan kis ka hai

waiz ek aib se tu pak hai ya zat-e-KHuda

warna be-aib zamane mein chalan kis ka hai

aaj kuchh aur dinon se hai siwa istighraq

azm-e-tasKHir phir ai sheKH-e-zaman kis ka hai

aankh paDti hai har ek ahl-e-nazar ki tum par

tum mein rup ai gul o nasrin o saman kis ka hai

ishq udhar aql idhar dhun mein chale hain teri

rasta ab dekhiye donon mein kaThin kis ka hai

shan dekhi nahin gar tu ne chaman mein us ki

walwala tujh mein ye ai murgh-e-chaman kis ka hai

hain fasahat mein masal waiz o 'haali' donon

dekhna ye hai ki be-lag suKHan kis ka hai

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabk O Qumri Mein Hai JhagDa Ki Chaman Kis Ka Hai In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Kabk O Qumri Mein Hai JhagDa Ki Chaman Kis Ka Hai is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Kabk O Qumri Mein Hai JhagDa Ki Chaman Kis Ka Hai for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Kabk O Qumri Mein Hai JhagDa Ki Chaman Kis Ka Hai in PDF.