Kah Do Koi Saqi Se Ki Hum Marte Hain Pyase

kah do koi saqi se ki hum marte hain pyase

gar mai nahin de zahr hi ka jam bala se

jo kuchh hai so hai us ke taghaful ki shikayat

qasid se hai takrar na jhagDa hai saba se

dallala ne ummid dilai to hai lekin

dete nahin kuchh dil ko tasalli ye dilase

hai wasl to taqdir ke hath ai shah-e-KHuban

yan hain to faqat teri mohabbat ke hain pyase

pyase tere sar-gashta hain jo rah-e-talab mein

honTon ko wo karte nahin tar aab-e-baqa se

dar guzre dawa se to bharose pe dua ke

dar guzren dua se bhi dua hai ye KHuda se

ek dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko

taKHfif dawa se ho na taskin dua se

'haali' dil-e-insan mein hai gum daulat-e-kaunain

sharminda hon kyun ghair ke ehsan-o-ata se

jab waqt paDe dijiye dastak dar-e-dil par

jhukiye fuqara se na jhamkiye umra se

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kah Do Koi Saqi Se Ki Hum Marte Hain Pyase In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Kah Do Koi Saqi Se Ki Hum Marte Hain Pyase is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Kah Do Koi Saqi Se Ki Hum Marte Hain Pyase for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Kah Do Koi Saqi Se Ki Hum Marte Hain Pyase in PDF.