Ruh Ko Rah-e-adam Mein Mera Tan Yaad Aaya

ruh ko rah-e-adam mein mera tan yaad aaya

dasht-e-ghurbat mein musafir ko watan yaad aaya

chuTkiyan dil mein mere lene laga naKHun-e-ishq

gul-badan dekh ke us gul ka badan yaad aaya

wahm hi wahm mein apni hui auqat basar

kamar-e-yar ko bhule to dahan yaad aaya

barg-e-gul dekh ke aankhon mein tere phir gae lab

ghuncha chaTka to mujhe lutf-e-suKHan yaad aaya

dar-ba-dar phir ke dila ghar ki hamein qadr hui

rah-e-ghurbat mein jo bhule to watan yaad aaya

aah kyun khench ke aankhon mein bhar aae aansu

kya qafas mein tujhe ai murgh-e-chaman yaad aaya

phir 'amanat' mera dil bhul gaya aish o tarab

phir mujhe rauza-e-sultan-e-zaman yaad aaya

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh Ko Rah-e-adam Mein Mera Tan Yaad Aaya In English By Famous Poet Amanat Lakhnavi. Ruh Ko Rah-e-adam Mein Mera Tan Yaad Aaya is written by Amanat Lakhnavi. Read famous Poem Ruh Ko Rah-e-adam Mein Mera Tan Yaad Aaya for youth and Student by Amanat Lakhnavi. Free Download Ruh Ko Rah-e-adam Mein Mera Tan Yaad Aaya in PDF.