Subh-e-visal-e-zist Ka Naqsha Badal Gaya

subh-e-visal-e-zist ka naqsha badal gaya

murgh-e-sahar ke bolte hi dam nikal gaya

daman pe loTne lage gir gir ke tifl-e-ashk

roe firaq mein to dil apna bahal gaya

dushman bhi gar mare to KHushi ka nahin mahal

koi jahan se aaj gaya koi kal gaya

surat rahi na shakl na ghamza na wo ada

kya dekhen ab tujhe ki wo naqsha badal gaya

qasid ko us ne qatl kiya purze kar ke KHat

munh se jo us ke nam hamara nikal gaya

mil jao gar to phir wahi baham hon sohbaten

kuchh tum badal gae ho na kuchh main badal gaya

mujh diljale ki nabz jo dekhi tabib ne

kahne laga ki aah mera hath jal gaya

jita raha uThane ko sadme firaq ke

dam wasl mein tera na 'amanat' nikal gaya

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh-e-visal-e-zist Ka Naqsha Badal Gaya In English By Famous Poet Amanat Lakhnavi. Subh-e-visal-e-zist Ka Naqsha Badal Gaya is written by Amanat Lakhnavi. Read famous Poem Subh-e-visal-e-zist Ka Naqsha Badal Gaya for youth and Student by Amanat Lakhnavi. Free Download Subh-e-visal-e-zist Ka Naqsha Badal Gaya in PDF.