Majburiyon Mein BanT Le Jo Dard Kaun Hai

majburiyon mein banT le jo dard kaun hai

palkon se jhaDe gul pe jami gard kaun hai

shoalon pe nange panw chala ja raha hai jo

dekho wo burdbar jawan-mard kaun hai

sahra sulag raha ho to pani bujhaega

pani ki aag ko jo kare sard kaun hai

in mahwashon ki bhiD mein KHamosh ek taraf

baiTha hai jo chhupae ruKH-e-zard kaun hai

bhule se aa gaya hun farishton ke des mein

kis se pata karun ki yahan fard kaun hai

yarab mujhe chaDha de kisi hadse ki bhenT

dekhun ki mera shahr mein hamdard kaun hai

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Majburiyon Mein BanT Le Jo Dard Kaun Hai In English By Famous Poet Amar Singh Figar. Majburiyon Mein BanT Le Jo Dard Kaun Hai is written by Amar Singh Figar. Read famous Poem Majburiyon Mein BanT Le Jo Dard Kaun Hai for youth and Student by Amar Singh Figar. Free Download Majburiyon Mein BanT Le Jo Dard Kaun Hai in PDF.