Phir Koi Mushkil Jawan Hone Ko Hai

phir koi mushkil jawan hone ko hai

doston ka imtihan hone ko hai

jhonke dam sadhe khaDe hain chaar-su

koi hangama yahan hone ko hai

bhig jaane par bhi jo bujhta na tha

aaj wo shoala dhuan hone ko hai

ye bahaaren aur gul buTe niDhaal

fasl-e-gul daur-e-KHizan hone ko hai

zindagi se kijiye ummid kya

zindagi KHud raegan hone ko hai

zabt ka had se guzarna dekhiye

raaz aankhon se bayan hone ko hai

manzil-e-maqsud jab aai nazar

rahbar sang-e-garan hone ko hai

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Koi Mushkil Jawan Hone Ko Hai In English By Famous Poet Amar Singh Figar. Phir Koi Mushkil Jawan Hone Ko Hai is written by Amar Singh Figar. Read famous Poem Phir Koi Mushkil Jawan Hone Ko Hai for youth and Student by Amar Singh Figar. Free Download Phir Koi Mushkil Jawan Hone Ko Hai in PDF.