Darwaza Wa Kar Ke Roz Nikalta Tha

darwaza wa kar ke roz nikalta tha

sirf wahi apne ghar ka sarmaya tha

khaDe hue the peD jaDon se kaT kar bhi

tez hawa ka jhonka aane wala tha

usi nadi mein us ke bachche Dub gae

usi nadi ka pani us ka pina tha

sabz qabaen roz luTata tha lekin

KHud us ke tan par bosida kapDa tha

bahar sare maidan jit chuka tha wo

ghar lauTa to pal bhar mein hi TuTa tha

but ki qimat aank raha tha waise wo

mandir mein to puja karne aaya tha

chiKH paDin sari diwaren 'amabar'-ji

main sab se chhup kar kamre mein baiTha tha

(611) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darwaza Wa Kar Ke Roz Nikalta Tha In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Darwaza Wa Kar Ke Roz Nikalta Tha is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Darwaza Wa Kar Ke Roz Nikalta Tha for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Darwaza Wa Kar Ke Roz Nikalta Tha in PDF.