Gili MiTTi Hath Mein Le Kar BaiTha Hun

gili miTTi hath mein le kar baiTha hun

zehn mein ek dhundle paikar se uljha hun

pis raha hai dil ko ek wazni patthar

dub ko banhon mein bhar kar main hansta hun

tere hathon ne mujh mein sab rang bhare

lekin har pal ye ehsas adhura hun

dhup kabhi chamkegi is ummid pe main

barf ke dariya mein sadiyon se leTa hun

is jaanib kab ude baadal ne dekha

phir bhi main tanha sarsabz jazira hun

mera karb meri tanhai ki zinat

main chehron ke jangal ka sannaTa hun

ek dhundli taswir abhi aaankhon mein hai

is wadi se dur bhala kab rahta hun

raat ufuq par kuchh saye lahrae the

'amabar' ab tak aas lagae baiTha hun

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gili MiTTi Hath Mein Le Kar BaiTha Hun In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Gili MiTTi Hath Mein Le Kar BaiTha Hun is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Gili MiTTi Hath Mein Le Kar BaiTha Hun for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Gili MiTTi Hath Mein Le Kar BaiTha Hun in PDF.