Gulab Tha Na Kanwal Phir Badan Wo Kaisa Tha

gulab tha na kanwal phir badan wo kaisa tha

ki jis ka lams bahaaron mein rang bharta tha

jahan pe sada-dili ke makin the kuchh paikar

wo jhonpaDa tha magar pur-shikoh kitna tha

masham-e-jaan se guzarti rahi hai taza hawa

tera KHayal khule aasaman jaisa tha

usi ke hath mein tamghe hain kal jo maidan mein

hamari chhanw mein apna bachao karta tha

ye sach hai rang badalta tha wo har ek lamha

magar wahi to bahut kaamyab chehra tha

har ek nadi se kaDi pyas le ke wo guzra

ye aur baat ki wo KHud bhi ek dariya tha

wo ek jast mein nazron se dur tha 'amabar'

KHala mein sirf sunahra ghubar phaila tha

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulab Tha Na Kanwal Phir Badan Wo Kaisa Tha In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Gulab Tha Na Kanwal Phir Badan Wo Kaisa Tha is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Gulab Tha Na Kanwal Phir Badan Wo Kaisa Tha for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Gulab Tha Na Kanwal Phir Badan Wo Kaisa Tha in PDF.