Hanste Hue Chehre Mein Koi Sham Chhupi Thi

hanste hue chehre mein koi sham chhupi thi

KHush-lahja taKHatub ki khanak nim chaDhi thi

jalwon ki ana toD gai ek hi pal mein

kachnar si bijli mere sine mein uDi thi

pita raha dariya ke tamawwuj ko shanawar

honTon pe nadi ke bhi ajab tishna-labi thi

KHush-rang maani ke taaqub mein raha main

KHatt-e-lab-e-lalin ki har ek mauj KHafi thi

har samt ram-e-haft bala shola-fishan hai

bachpan mein to har gam pe ek sabz-pari thi

sadiyon se hai jalte hue Tapu ki amanat

wo wadi-o-gul-rang jo KHwabon mein pali thi

jalte hue kohsar pe ek shoKH gilahri

munh moD ke gulshan se ba-sad naz khaDi thi

neze ki ani thi rag-e-anfas mein raqsan

wo taza hawaon mein tha khiDki bhi khuli thi

hum pi bhi gae aur salamat bhi hain 'amabar'

pani ki har ek bund mein hire ki kani thi

(1219) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hanste Hue Chehre Mein Koi Sham Chhupi Thi In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Hanste Hue Chehre Mein Koi Sham Chhupi Thi is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Hanste Hue Chehre Mein Koi Sham Chhupi Thi for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Hanste Hue Chehre Mein Koi Sham Chhupi Thi in PDF.