Har Taraf Uske Sunahre Lafz Hain Phaile Hue

har taraf us ke sunahre lafz hain phaile hue

aur hum kajal ki ek tahrir mein Dube hue

chandni ke shahr mein hamrah tha wo bhi magar

dur tak KHamoshiyon ke saz the bajte hue

hans raha tha wo hari rut ki suhani chhanw mein

dafatan har ek shajar ke pairahan maile hue

aaj ek masum bachchi ki zaban khinchi gai

meri basti mein andhere aur bhi gahre hue

har gali mein thin siyah parchhaiyon ki yurishen

shab kai gunge malak har chhat pe the baiThe hue

sab adaen waqt ki wo jaanta hai is liye

TaT ke niche sunahra taj hai rakkhe hue

soup ke dane kabutar chug raha tha aur wo

sehn ko mahka rahi thi sunnaten paDhte hue

raat 'amabar' kahkashan se dub ye kahne lagi

chhanw mein meri hazaron chand hain soe hue

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Taraf Uske Sunahre Lafz Hain Phaile Hue In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Har Taraf Uske Sunahre Lafz Hain Phaile Hue is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Har Taraf Uske Sunahre Lafz Hain Phaile Hue for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Har Taraf Uske Sunahre Lafz Hain Phaile Hue in PDF.