Jagmagati Raushni Ke Par Kya Tha Dekhte

jagmagati raushni ke par kya tha dekhte

dhul ka tufan andhere bo raha tha dekhte

sabz Tahni par magan thi faKHta gati hui

ek shakra pas hi baiTha hua tha dekhte

hum andhere Tapuon mein zindagi karte rahe

chandni ke des mein kya ho raha tha dekhte

jaan dene ka hunar har shaKHs ko aata nahin

sohni ke hath mein kachcha ghaDa tha dekhte

zehn mein basti rahi har bar huhi ki kali

bair ke jangal se hum ko kya mila tha dekhte

aam ke peDon ke sare phal sunahre ho gae

is baras bhi rasta kyun ro raha tha dekhte

us ke honTon ke tabassum pe the sab chaunke hue

us ki aankhon ka samundar kya hua tha dekhte

raat ujle pairahan wale the KHwabon mein magan

dudhiya punam ko kis ne Das liya tha dekhte

bich mein dhundle manazir the agarche saf-ba-saf

phir bhi 'amabar' hashiya to hans raha tha dekhte

(587) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagmagati Raushni Ke Par Kya Tha Dekhte In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Jagmagati Raushni Ke Par Kya Tha Dekhte is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Jagmagati Raushni Ke Par Kya Tha Dekhte for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Jagmagati Raushni Ke Par Kya Tha Dekhte in PDF.