Jalte Hue Jangal Se Guzarna Tha Hamein Bhi

jalte hue jangal se guzarna tha hamein bhi

phir barf ke sahra mein Thaharna tha hamein bhi

mear-nawazi mein kahan us ko sukun tha

us shoKH ki nazron se utarna tha hamein bhi

jaan baKHsh tha pal bhar ke liye lams kisi ka

phir karb ke dariya mein utarna tha hamein bhi

yaron ki nazar hi mein na the pankh hamare

KHud apni uDanon ko katarna tha hamein bhi

wo shahad mein Duba hua lahja wo taKHatub

iKHlas ke wo rang ki Darna tha hamein bhi

yaad aae jo qadron ke mahakte hue gulban

chandi ke hisaron se ubharna tha hamein bhi

sone ke hanDole mein wo KHush-posh magan tha

mausam bhi suhana tha sanwarna tha hamein bhi

har phul pe us shaKHs ko patthar the chalane

ashkon se har ek barg ko bharna tha hamein bhi

us ko tha bahut naz KHadd-o-KHal pe 'amabar'

ek roz tah-e-KHak bikharna tha hamein bhi

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalte Hue Jangal Se Guzarna Tha Hamein Bhi In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Jalte Hue Jangal Se Guzarna Tha Hamein Bhi is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Jalte Hue Jangal Se Guzarna Tha Hamein Bhi for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Jalte Hue Jangal Se Guzarna Tha Hamein Bhi in PDF.