Kyun Na Hon Shad Ki Hum Rahguzar Mein Hain Abhi

kyun na hon shad ki hum rahguzar mein hain abhi

dasht-e-be-sabz mein aur dhup nagar mein hain abhi

surKH aazar hi mere zaKHmon pe na ho yun masrur

kai shahpar mere TuTe hue par mein hain abhi

in dhundalkon ki har ek chaal to shatir hai magar

nuqrai naqsh mere dast-e-hunar mein hain abhi

umr bhar main to raha KHana-badoshi mein idhar

kuchh kabutar mere aslaf ke ghar mein hain abhi

ek muddat se koi sabz na ubhra is mein

ghonsle chil ke be-barg shajar mein hain abhi

shahr ki dhul fazaen hi muqaddar mein rahin

aam ke bor magar meri nazar mein hain abhi

rakh ke Dher pe matam na karo dekho bhi

kai shole kisi be-jaan sharar mein hain abhi

ek sahir kabhi guzra tha idhar se 'amabar'

ja-e-hairat ki sabhi us ke asar mein hain abhi

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Na Hon Shad Ki Hum Rahguzar Mein Hain Abhi In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Kyun Na Hon Shad Ki Hum Rahguzar Mein Hain Abhi is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Kyun Na Hon Shad Ki Hum Rahguzar Mein Hain Abhi for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Kyun Na Hon Shad Ki Hum Rahguzar Mein Hain Abhi in PDF.