Main Apni Wusaton Ko Us Gali Mein Bhul Jata Hun

main apni wusaton ko us gali mein bhul jata hun

na jaane kaun se jadu ke hathon mein khilauna hun

safar ye paniyon ka jab mujhe be-ab karta hai

main dariya ki rupahli ret ko bistar banata hun

sawalon ke kai patthar uThae log baiThe hain

main apna nanha bachcha qabr mein dafna ke lauTa hun

na jaane kis faza mein kho gaya wo dudhiya aanchal

ki jis ke faiz se main kitni aaankhon ka ujala hun

wo suraj mere chaaron samt hai phaila hua lekin

main akasr ajnabi dhundlahaTon mein Dub jata hun

lipaT jati hai meri ungliyon se KHud shafaq aa kar

sahar ki samt jab main apne hathon ko baDhata hun

koi to hai ki jo mujh ko ujale baKHsh jata hai

ba-zahir main kisi tarik Tapu mein akela hun

mere sine mein 'amabar' ek dhanak si phail jati hai

main apne aansuon ki chandni mein sher likhta hun

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apni Wusaton Ko Us Gali Mein Bhul Jata Hun In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Main Apni Wusaton Ko Us Gali Mein Bhul Jata Hun is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Main Apni Wusaton Ko Us Gali Mein Bhul Jata Hun for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Main Apni Wusaton Ko Us Gali Mein Bhul Jata Hun in PDF.