Mere Chehre Pe Jo Aansu Gira Tha

mere chehre pe jo aansu gira tha

na jaane kitne shoalon mein jala tha

hamare kan bahre ho gae the

udhar wo dastan-go hans raha tha

andheri raat sannaTe ka aalam

nadi ke par ek lapka jaga tha

bahut aazar the raste mein lekin

lahu mein phul-mausam hans raha tha

hawa-e-garm yun dil mein chali thi

meri aankhon mein sawan bas gaya tha

andhere dasht se nikle ki dekha

sawa neze pe suraj aa chuka tha

labon pe thi mere subh-e-tabassum

mere baatin mein koi ro raha tha

bahut din baad khul kar mil rahe the

mere bachchon ko jaane kya hua tha

bahut mushtaq tha shahr-e-KHamoshan

ki basti mein faqat 'amabar' bacha tha

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Chehre Pe Jo Aansu Gira Tha In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Mere Chehre Pe Jo Aansu Gira Tha is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Mere Chehre Pe Jo Aansu Gira Tha for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Mere Chehre Pe Jo Aansu Gira Tha in PDF.