Shab KHwab Ke Jaziron Mein Hans Kar Guzar Gai

shab KHwab ke jaziron mein hans kar guzar gai

aankhon mein waqt-e-subh magar dhul bhar gai

pichhli ruton mein sare shajar barwar to the

ab ke har ek shaKH magar be-samar gai

hum bhi baDhe the wadi-e-izhaar mein magar

lahje ke intishaar se aawaz mar gai

tujh phul ke hisar mein ek lutf hai ajab

chhu kar jise hawa-e-tarab-e-motabar gai

dil mein ajab sa tir taraazu hai in dinon

han ai nigah-e-naz bata tu kidhar gai

maqsad sala-e-am hai phir ehtiyat kyun

be-rang rauzanon se jo KHushbu guzar gai

us ke dayar mein kai mahtab bhej kar

wadi-e-dil mein ek amawas Thahar gai

ab ke qafas se dur rahi mausami hawa

aazad taeron ke paron ko katar gai

aandhi ne sirf mujh ko musaKHKHar nahin kiya

ek dasht-e-be-dili bhi mere nam kar gai

phir chaar-su kasif dhuen phailne lage

phir shahr ki nigah tere qasr par gai

alfaz ke tilism se 'amabar' ko hai shaghaf

us ki hayat kaise bhala be-hunar gai

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab KHwab Ke Jaziron Mein Hans Kar Guzar Gai In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Shab KHwab Ke Jaziron Mein Hans Kar Guzar Gai is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Shab KHwab Ke Jaziron Mein Hans Kar Guzar Gai for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Shab KHwab Ke Jaziron Mein Hans Kar Guzar Gai in PDF.