Wo Lamha Mujhko Shashdar Kar Gaya Tha

wo lamha mujh ko shashdar kar gaya tha

mere andar bhi lawa bhar gaya tha

hai donon samt virani ka aalam

isi raste se wo lashkar gaya tha

guzari thi bhanwar mein us ne lekin

wo manjhi sahilon se Dar gaya tha

qalandar mutmain tha jhonpaDe mein

abas us ke liye mahzar gaya tha

na jaane kaisi aahaT thi faza mein

wo din Dhalte hi apne ghar gaya tha

abhi tak baam-o-dar hain phul jaise

mere ghar bhi wo KHush-manzar gaya tha

sitare ba-adab Thahre hue the

KHala mein ek KHush-paikar gaya tha

idhar aankhon mein meri dhul Thahri

udhar shabnam se manzar bhar gaya tha

magar tishna-labi Thahri muqaddar

nadi ke pas bhi 'amabar' gaya tha

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Lamha Mujhko Shashdar Kar Gaya Tha In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Wo Lamha Mujhko Shashdar Kar Gaya Tha is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Wo Lamha Mujhko Shashdar Kar Gaya Tha for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Wo Lamha Mujhko Shashdar Kar Gaya Tha in PDF.