Har Ek Rishta Bikhra Bikhra Kyun Lagta Hai

har ek rishta bikhra bikhra kyun lagta hai

is duniya mein sab kuchh jhuTa kyun lagta hai

mera dil kyun samajh na paya un baaton ko

jo waisa hota hai aisa kyun lagta hai

jo yaaden akasr taDpati hai is dil ko

un yaadon ka dil mein mela kyun lagta hai

us ko fikr wo sab se baDa kaise ho jae

main sochun wo itna chhoTa kyun lagta hai

duniyawi rishte to sachche kab the lekin

ruhon ka milna bhi jhuTa kyun lagta hai

mere hisse mein aai mai ka har qatra

us ki aankhon hi se chhalka kyun lagta hai

'amabar'-ji tum sher to kah lete ho lekin

har ek misra TuTa-phuTa kyun lagta hai

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Rishta Bikhra Bikhra Kyun Lagta Hai In English By Famous Poet Ambar Kharbanda. Har Ek Rishta Bikhra Bikhra Kyun Lagta Hai is written by Ambar Kharbanda. Read famous Poem Har Ek Rishta Bikhra Bikhra Kyun Lagta Hai for youth and Student by Ambar Kharbanda. Free Download Har Ek Rishta Bikhra Bikhra Kyun Lagta Hai in PDF.