Jahan Mein Har Bashar Majbur Ho Aisa Nahin Hota

jahan mein har bashar majbur ho aisa nahin hota

har ek rahi se manzil dur ho aisa nahin hota

talluq TuTne ka gham kabhi hum se bhi puchho tum

tumhaara zaKHm hi nasur ho aisa nahin hota

gawahon ko to bik jaane ki majburi rahi hogi

hamein bhi faisla manzur ho aisa nahin hota

mohabbat jurm hai to phir saza bhi ek jaisi ho

koi ruswa koi mashhur ho aisa nahin hota

kitabon ki hain ye baaten kitabon hi mein rahne do

koi muflis kabhi masrur ho aisa nahin hota

koi misra agar dil mein utar jae ghanimat hai

taghazzul se ghazal bharpur ho aisa nahin hota

kabhi pita hai 'amabar' zindagi ke gham bhulane ko

wo har shab hi nashe mein chur ho aisa nahin hota

(1051) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Mein Har Bashar Majbur Ho Aisa Nahin Hota In English By Famous Poet Ambar Kharbanda. Jahan Mein Har Bashar Majbur Ho Aisa Nahin Hota is written by Ambar Kharbanda. Read famous Poem Jahan Mein Har Bashar Majbur Ho Aisa Nahin Hota for youth and Student by Ambar Kharbanda. Free Download Jahan Mein Har Bashar Majbur Ho Aisa Nahin Hota in PDF.