Mushkil Ko Samajhne Ka Wasila Nikal Aata

mushkil ko samajhne ka wasila nikal aata

tum baat to karte koi rasta nikal aata

ghar se jo mere sona ya paisa nikal aata

kis kis se mera KHun ka rishta nikal aata

mere liye ai dost bas itna hi bahut tha

jaisa tujhe socha tha tu waisa nikal aata

main joD to deta teri taswir ke TukDe

mushkil tha ki wo pahla sa chehra nikal aata

bas aur to kya hona tha dukh-dard suna kar

yaron ke liye ek tamasha nikal aata

aisa hun main is waste chubhta hun nazar mein

socho to agar main kahin waisa nikal aata

achchha hua parkha nahin 'amabar' ko kisi ne

kya jaaniye kya shaKHs tha kaisa nikal aata

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mushkil Ko Samajhne Ka Wasila Nikal Aata In English By Famous Poet Ambar Kharbanda. Mushkil Ko Samajhne Ka Wasila Nikal Aata is written by Ambar Kharbanda. Read famous Poem Mushkil Ko Samajhne Ka Wasila Nikal Aata for youth and Student by Ambar Kharbanda. Free Download Mushkil Ko Samajhne Ka Wasila Nikal Aata in PDF.