Zamane-bhar Se Juda Aur Ba-kamal Koi

zamane-bhar se juda aur ba-kamal koi

mere KHayalon mein rahta hai be-misal koi

na jaane kitni hi raaton ka jagna Thahra

mere wajud se uljha hai jab KHayal koi

tumhin batao ki phir guftugu se kya hasil

jawab hone ki zid kar le jab sawal koi

karam ke baKHsh diya tu ne mushkilon ka pahaD

ab is pahaD se rasta magar nikal koi

guzarne the yahi chaar din guzar diye

na koi ranj na shikwa na ab malal koi

hamare sath duaen bahut thin apnon ki

kabhi sukun se guzra magar na sal koi

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamane-bhar Se Juda Aur Ba-kamal Koi In English By Famous Poet Ambar Kharbanda. Zamane-bhar Se Juda Aur Ba-kamal Koi is written by Ambar Kharbanda. Read famous Poem Zamane-bhar Se Juda Aur Ba-kamal Koi for youth and Student by Ambar Kharbanda. Free Download Zamane-bhar Se Juda Aur Ba-kamal Koi in PDF.