Saeban Kya Abr Ka TukDa Hai Kya

saeban kya abr ka TukDa hai kya

dhup to malum hai saya hai kya

apne daman mein chhupa le mauj-e-gham

qatra qatra zindagi jina hai kya

KHwab aansu ehtajaji zindagi

puchhiye mat shahr-e-kalkatta hai kya

tund jhonke sab uDa le jaenge

shaKH se TuTa hua patta hai kya

har qadam ek saneha hai dosto

aise mausam mein koi jita hai kya

meri mahrumi mera ghussa na puchh

barf ki hiddat hai kya shoala hai kya

kyun dhaDakta hai ye dil ambar-'shamim'

us ki yaadon se mera rishta hai kya

(607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saeban Kya Abr Ka TukDa Hai Kya In English By Famous Poet Ambar Shameem. Saeban Kya Abr Ka TukDa Hai Kya is written by Ambar Shameem. Read famous Poem Saeban Kya Abr Ka TukDa Hai Kya for youth and Student by Ambar Shameem. Free Download Saeban Kya Abr Ka TukDa Hai Kya in PDF.