Rang Kala Hai Na Hai Paikar Siyah

rang kala hai na hai paikar siyah

aadmi dar-asl hai andar siyah

ab kahan qaus-e-quzah ke daere

ab hai ta-hadd-e-nazar manzar siyah

kitna kala ho gaya tha us ka dil

jism se nikla to tha KHanjar siyah

waqt ne sanwla diya sara badan

dhire dhire ho gaya marmar siyah

dhup kafi dur tak thi rah mein

lamha lamha ho gaya paikar siyah

(1172) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang Kala Hai Na Hai Paikar Siyah In English By Famous Poet Ambar Shameem. Rang Kala Hai Na Hai Paikar Siyah is written by Ambar Shameem. Read famous Poem Rang Kala Hai Na Hai Paikar Siyah for youth and Student by Ambar Shameem. Free Download Rang Kala Hai Na Hai Paikar Siyah in PDF.