Jab Se Zindagi Hua Dil Gardish-e-taqdir Ka

jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka

rose baDh jata hai ek halqa meri zanjir ka

mere hisse mein kahan thin ujlaton ki manzilen

mere qadmon ko sada rasta mila taKHir se

kis liye barbaadiyon ka dil ko hai itna malal

aur kya andaza ho KHamyaza-e-tamir ka

KHun-e-dil jin ki gawahi mein hua nazr-e-wafa

rang to wo uD gae ab kya karun taswir ka

main ne samjha teri chahat ko faqat inamat-e-zist

mujh ko andaza na tha is jurm is tazir ka

ek lab tak hi na pahunchi jo dua thi mustajab

kis qadar charcha hua hai aah-e-be-tasir ka

lafz ki hurmat muqaddam hai dil-o-jaan se mujhe

sach taaruf hai mere har sher har tahrir ka

(1095) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Zindagi Hua Dil Gardish-e-taqdir Ka In English By Famous Poet Ambareen Haseeb Ambar. Jab Se Zindagi Hua Dil Gardish-e-taqdir Ka is written by Ambareen Haseeb Ambar. Read famous Poem Jab Se Zindagi Hua Dil Gardish-e-taqdir Ka for youth and Student by Ambareen Haseeb Ambar. Free Download Jab Se Zindagi Hua Dil Gardish-e-taqdir Ka in PDF.