Jism-o-jaan Mein Dar Aai Is Qadar Aziyyat Kyun

jism-o-jaan mein dar aai is qadar aziyyat kyun

zindagi bhala tujh se ho rahi hai wahshat kyun

silsila mohabbat ka sirf KHwab hi rahta

apne darmiyan aaKHir aa gai haqiqat kyun

faisla bichhaDne ka kar liya hai jab tum ne

phir meri tamanna kya phir meri ijazat kyun

ye ajib uljhan hai kis se puchhne jaen

aaine mein rahti hai sirf ek surat kyun

karr-o-farr se nikle the jo sameTne duniya

bhar ke apne daman mein aa gae nadamat kyun

aap se muKHatib hun aap hi ke lahje mein

phir ye barhami kaisi aur ye shikayat kyun

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism-o-jaan Mein Dar Aai Is Qadar Aziyyat Kyun In English By Famous Poet Ambareen Haseeb Ambar. Jism-o-jaan Mein Dar Aai Is Qadar Aziyyat Kyun is written by Ambareen Haseeb Ambar. Read famous Poem Jism-o-jaan Mein Dar Aai Is Qadar Aziyyat Kyun for youth and Student by Ambareen Haseeb Ambar. Free Download Jism-o-jaan Mein Dar Aai Is Qadar Aziyyat Kyun in PDF.