Mila Bhi Zist Mein Kya Ranj-e-rah-guzar Se Kam

mila bhi zist mein kya ranj-e-rah-guzar se kam

so apna shauq-e-safar bhi nahin ghubar se kam

tere firaq mein dil ka ajib aalam hai

na kuchh KHumar se baDh kar na kuchh KHumar se kam

hansi-KHushi ki rafaqat kisi se kya chahen

yahan to milta nahin koi gham-gusar se kam

wo muntazir hai yaqinan hawa-e-sarsar ka

jo habs ho na saka baad-e-nau-bahaar se kam

bulandiyon ke safar mein qadam zamin pe rahen

ye taKHt-o-taj bhi hote nahin hain dar se kam

ajib rangon se mujh ko sanwar deti hai

ki wo nigah-e-sataish nahin singhaar se kam

meri ana hi sada darmiyan rahi hael

wagarna kuchh bhi nahin mere iKHtiyar se kam

wo jang jis mein muqabil rahe zamir mera

mujhe wo jit bhi 'amabar' na hogi haar se kam

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mila Bhi Zist Mein Kya Ranj-e-rah-guzar Se Kam In English By Famous Poet Ambareen Haseeb Ambar. Mila Bhi Zist Mein Kya Ranj-e-rah-guzar Se Kam is written by Ambareen Haseeb Ambar. Read famous Poem Mila Bhi Zist Mein Kya Ranj-e-rah-guzar Se Kam for youth and Student by Ambareen Haseeb Ambar. Free Download Mila Bhi Zist Mein Kya Ranj-e-rah-guzar Se Kam in PDF.