Baam Se Dhal Chuka Hai Aadha Din

baam se Dhal chuka hai aadha din

kis se milne chala hai aadha din

tum jo chaho to ruk bhi sakta hai

warna kis se ruka hai aadha din

jhankti sham ke kinare par

mujh se phir laD paDa hai aadha din

us ne dekha jahan palaT ke mujhe

bas wahin ruk gaya hai aadha din

aas ki aahaTen jagae hue

khiDkiyon mein saja hai aadha din

dhup ki reshmin tanabon par

kis tarah TuTta hai aadha din

paD rahi hogi barf wadi mein

aankh mein jam gaya hai aadha din

tirgi ka libas oDhe hue

mere andar chhupa hai aadha din

'ambarin' ek hai bakheDe sau

aur guzar bhi gaya hai aadha din

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baam Se Dhal Chuka Hai Aadha Din In English By Famous Poet Ambarin Salahuddin. Baam Se Dhal Chuka Hai Aadha Din is written by Ambarin Salahuddin. Read famous Poem Baam Se Dhal Chuka Hai Aadha Din for youth and Student by Ambarin Salahuddin. Free Download Baam Se Dhal Chuka Hai Aadha Din in PDF.