Rasta Rokti KHamoshi Ne Kaun Si Baat Sunani Hai

rasta rokti KHamoshi ne kaun si baat sunani hai

raat ki aankhen jaan rahi hain kis ke pas kahani hai

aankh ne wahshat oDhi hai ya manzar mein hairani hai

dasht ne daman jhaD ke puchha ab kaisi virani hai

manzar hai khiDki ke andar ya hai khiDki se bahar

gardun ki girai hai ya KHak ne chadar tani hai

kaunde se lapke paDte hain chuTki bhar nilahaT se

taron mein manzar khulne se pahle ki hairani hai

sare sang-e-mil bhi manzil ho sakte hain bhed khula

hathon ki rekhaon mein har manzil ek nishani hai

aap kahen to tin zamane ek hi lahr mein bah niklen

aap kahen to sari baaton mein aisi aasani hai

roz-o-shab ke bandhan khol ke waqt ka dariya chal nikle

aap kahen to danai hai hum kah den nadani hai

raat ki chadar tah hone tak dhup ka jadu khulne tak

darwaze ke band kiwaDon se ek baat chhupani hai

jitne pul tak raqs karengi kirnen barf ki qashon par

kohsaron ke daman mein bhi tab tak ek kahani hai

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasta Rokti KHamoshi Ne Kaun Si Baat Sunani Hai In English By Famous Poet Ambarin Salahuddin. Rasta Rokti KHamoshi Ne Kaun Si Baat Sunani Hai is written by Ambarin Salahuddin. Read famous Poem Rasta Rokti KHamoshi Ne Kaun Si Baat Sunani Hai for youth and Student by Ambarin Salahuddin. Free Download Rasta Rokti KHamoshi Ne Kaun Si Baat Sunani Hai in PDF.