Uske Dhyan Ki Dil Mein Pyas Jaga Li Jae

us ke dhyan ki dil mein pyas jaga li jae

ek bhi sham na phir us ke nam se KHali jae

aaankhon mein kajal ki parat jama li jae

sakhiyon se yun prit ki jot chhupa li jae

ret hai suraj hai wusat hai tanhai

lekin nan is dil ki KHam-KHayali jae

aaankhon mein bhar kar is dasht ki hairani

wahshat ki umda taswir bana li jae

aap ne pahle bhi to mujh ko dekha hoga!

aap ke munh se aap ki baat chura li jae

sochon mein girdab se paDne lag jaen

aaankhon se phir aaTh pahar na lali jae

dil-azari ki miTTi se istada ghar

un be-faiz daron tak kaun sawali jae

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Dhyan Ki Dil Mein Pyas Jaga Li Jae In English By Famous Poet Ambarin Salahuddin. Uske Dhyan Ki Dil Mein Pyas Jaga Li Jae is written by Ambarin Salahuddin. Read famous Poem Uske Dhyan Ki Dil Mein Pyas Jaga Li Jae for youth and Student by Ambarin Salahuddin. Free Download Uske Dhyan Ki Dil Mein Pyas Jaga Li Jae in PDF.