Lale PaDe Hain Jaan Ke Jine Ka Ehtimam Kar

lale paDe hain jaan ke jine ka ehtimam kar

jin mein ho kaif-e-zindagi bahr-e-KHuda wo kaam kar

taur-e-hayat se uDa jazba-e-zistan ki aag

jab kahin ja ke niyat-e-zindagi dawam kar

pahle ye soch dam ke toDne ki sakat bhi hai

baad ko dil mein KHwahish-e-dana-e-zer-e-dam kar

tujh ko teri hi aankh se dekh rahi hai kaenat

baat ye raaz ki nahin apna KHud ehtiram kar

haif samajh raha hai tu apni jhijak ko mohtasib

mai-kada-e-hayat mein shauq se mai-ba-jam kar

naqsh-nawi nahin hai tu safha-e-rozgar par

miTne se gar nahin mafar miT hi ke apna nam kar

banda-e-KHwahishat ko kahta hai kaun abd-e-hur

chahiye hurriyat agar dil ko 'amin' ghulam kar

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lale PaDe Hain Jaan Ke Jine Ka Ehtimam Kar In English By Famous Poet Ameen Hazin. Lale PaDe Hain Jaan Ke Jine Ka Ehtimam Kar is written by Ameen Hazin. Read famous Poem Lale PaDe Hain Jaan Ke Jine Ka Ehtimam Kar for youth and Student by Ameen Hazin. Free Download Lale PaDe Hain Jaan Ke Jine Ka Ehtimam Kar in PDF.