Jo Mai-kade Se Bhi Daman Bacha Bacha Ke Chale

jo mai-kade se bhi daman bacha bacha ke chale

teri gali se jo guzre to laDkhaDa ke chale

hamein bhi qissa-e-dar-o-rasan se nisbat hai

faqih-e-shahr se kah do nazar mila ke chale

koi to jaane ki guzri hai dil pe kya jab bhi

KHizan ke bagh mein jhonke KHunuk hawa ke chale

ab e'tiraf-e-jafa aur kis tarah hoga

ki teri bazm mein qisse meri wafa ke chale

hazar honT mile hon to kya fasana-e-dil

sunane wale nigahon se bhi suna ke chale

kahin suragh-e-chaman mil hi jaega 'rahat'

chalo udhar ko jidhar qafile saba ke chale

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Mai-kade Se Bhi Daman Bacha Bacha Ke Chale In English By Famous Poet Ameen Rahat Chugtai. Jo Mai-kade Se Bhi Daman Bacha Bacha Ke Chale is written by Ameen Rahat Chugtai. Read famous Poem Jo Mai-kade Se Bhi Daman Bacha Bacha Ke Chale for youth and Student by Ameen Rahat Chugtai. Free Download Jo Mai-kade Se Bhi Daman Bacha Bacha Ke Chale in PDF.